Monday 18 August 2014

Kar Bhala So Ho Bhala


Kisi gaon mein do bhai rehte the badah amir tha bahut maal-mehal, gaadhi ghoda. Kisi baat ki kami nahi thi. Chota bhai garib tha. Mehnat majduri karke pet palta tha. Ek din dono bahiyo mein behas hone lagi. Badhe ne kaha-"bhale ka bhala kabhi nahi hota" aaj ke jamane mein bhale ko bhik bhi nahi milti h. so dusre ka chahe bura kyu n ho apne bhale ki baat pehle sochni chaiye." Chote ne kaha-"nahi bhaiya kasht auro ko h, aise mein apna bhala kaise ho sakta h" badhe ne kaha-"chal hum gaon mein logo se puch lete h teri baat sahi nikli to mere pass jitna dhan h sara tera." Aur meri baat sach nikli to jo kuch tere pass h weh mera. Chote ne kaha thik h chalo weh gaon mein gaye or unhone kahiyo se pucha sabne yahi kaha ki aajkal bhalayi ka jamana nahi h bhalyai karne wala to bhuka marta h. jo chal-kapat karte h wo hi badha aadmi ban pata h . ab chote bhai ke pass khet ka ek chota sa tukda tha wo bhi shart mein haar gaya. Ab dane-dane ka mohtaj ho gaya tha. Bibi-bache bukhe marne lage the. Koi udhar bhi nahi deta. Weh apne badhe bhai ke pass chawal udhar lene gaya. Socha badha bhai h weh to de dega. Badhe bhai se kha - mujhe 10 kilo chawal dedo ghar mein ek dana bhi nahi. Bache marr rahe h. badhe bhai ne turant kaha-"paise do aur jitna chaho lelo chote ne kaha paise to nahi h" iss par badhe bhai ne kaha to phir apni aankh do. Chote ne socha majak kar raha h chawal ke badle aankh to nahi lega. Par badhe ne uski ek aankh nikal li aur 10 kilo chawal de diye.yeh dekh uske biwi bache rone lage ki ye tumne kya kar diya.

Thode din to aram se nikle, phir aaj anaj khtam ho gaya. Haar kar weh phir badhe bhai ke pass gaya. Usse apne bache bhook se bhiklate rote hue nahi dekhe gaye. badhe ne phir kaha-dusri aankh de do. Aur chawal le jao. Chote ne dusri aankh nikalwa di aur chawal le aaya. Bache aur biwi ye dekh rone lage. Tumne ye kya kar diya. Chote ne kaha- ki ab mein andha ho gaya hu. Log mujhe bhik de denge. Tum mujhe subh sadak ke kinare baitha aana. Aur sham ko le aana. Jisse unka roj ka kaam chalne laga. Ek din bahut dair ho gayi uski patni use lene nahi aayi. Bearish aane ke karan weh khud hi jane laga lekin tej aandhi hone ke karan weh bhatak gaya. Ab usne socha yahi baithkar raat gujar leta hu aura age gaya to rasta batak jaunga. Weh ek pedh ke niche baitha tha. Pedh se awwaj aane lagi. We asal mein bhut the. Charo mein unka ek sardar tha. Sab mahine bhar duniya ko state the or fir ek din milkar hisab karte the. Aaj wahi hisab karne wala din tha. Sardar ne pucha-ha bhai, tum logo ne kya kya kiya. Sab ek-ek karke sunao. Pehla bhut bola-"ek gaon mein do bhai the bhale-bure ka tark hua. Dono ne baaji rakhi" chota haar gaya maine use andha banwa diya. Sardar bola bahut khoob ab weh andha hi bana rahega. Weh kya jane ki iss pedh ke niche ki aankh lagane se uski aankh wapas aa jayehi. Dusra bola maine pass ke gaon ke sab nadi, talaab subko sukhwa diya h. pani ke liye log taras rahe h mar rahe h. bahut acche. Ab pura gaon aise hi tadap tadap ke marega. Sardar ne kaha. Unhe kya pata ki ki mithi ki saat parat hata dene se pani phir aa jayega. Tesra bola- sardar raja ki beti ki shadi hone wali thi. Par maine use gungi kar diya.

Sardar ne kaha-bahut ache kisi ko kya pata ki iss pedh ki jhulti jata ko piss kar pila dene se wehphir bolne lagegi. Ab subh ho gayi sab bhut chale gaye. usne sabse pehle waha ki oas ki bunde apni aankho se lagayi. Aankh laut aayi. Weh khusi se pagal ho gaya. Usne jaldi se pedh ki jata li aur ghar chala gaya. Sab use dekhkar bahut khsu hue. Usne sab kuch btaya aur raamnagar chala gaya. Aur waha mithi ki saat parte khudwa di aur waha pani aane laga nadiya, talabh sabh phir se bhar gaye. phir weh siddha raja ke mehal mein gaya aur rajkumari ko weh dawa pila di. Aur raja khus ho gaya. Raja ne sone ke sikko se uski jholi bhar di. aur chota bhai dhan-daulat ke sath ghar lauta.jab uske badhe bahi ne ye sab dekha to usse mafi mangne laga aur use sab kuch bata dene ko kaha. Usne bhai par taras kha kar sara raj sunaya. Badhi bhai bhi pedh tale jakar baith gaya. Phir wahi sab hua. Bhoot phir se aa gaye. unhone kaha jo kiya karaya tha sab par pani phir gaya. Jarur koi humari baat suntan h. bhoot pedh se utre to badhe bhai ko waha baitha paya. Jhat se uski garden kaat di.

Hume iss kahani se shiksa milti h ki hume. Dusro ka bura nahi sochna chaiye.

kaha bhi gaya h ki "kar bhala so ho bhala"

No comments:

Post a Comment